naghma-e-pur-kaif lab par dast-e-nazuk saz par mutriba qurban ho jaun main is andaz par gate gate ek ada ke sath ruk jaana tera phir usi lai main usi andaz se gana tera ruth kar man kar laja kar muskura kar naz se khinch di taswir har jazbe ki sau andaz se chitwanon se gah barsa din bala ki shokhiyan gah bhar lin mast aankhon mein haya ki bijliyan gah abru khanjar-e-saffak ho kar rah gae gah aariz ashk se namnak ho kar rah gae
This is a great urdu shayari kaif bhopali. True lovers of dosti pe qurban shayari will love this. Please share if you liked this!!!