nam-o-nang

bartari apni kya jatata hai
ye kamai to tu bhi khata hai

itna kahna dalil hai goya
aur tu bhi asil hai goya

do sharifon ki sun ke ye takrar
main khada rah gaya sar-e-bazar

aur hairat mein aisa gharq hua
kal-adam ek ek farq hua

nazish-o-asl-o-rang ke afsun
ghairat-e-nam-o-nang ke afsun

main yahan bhi sabhi qarinon mein
ek si dhadkanen hain sinon mein

kasb-e-majbur par bhi ye ehsas
izzat-e-nafs aur waza ka pas

aisa baatil tilism-e-rang hua
munhadim qasr-e-nam-o-nang hua

is tarah mit gain meri aqdar
qahqaha ban gae dar-o-diwar

khandani shanakhten mat puchh
izzaten aur sharafaten mat puchho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close