nasri nazm

nasr abba nazm aman donon ko inkar hai
ye jo nasri nazm hai ye kis ki paida-war hai
sirf laffazi pe mabni hai ye tajridi kalam
jis mein anqa hain maani lafz parda-dar hai
nasr hai gar nasr to wo nazm ho sakti nahin
nazm jo ho nasr ki manind wo be-kar hai
qafiye ki koi pabandi na hai qaid-e-radif
be-dar-o-diwar ka ye ghar bhi kya purkar hai
bahr se aazad qaid-e-wazan se hai be-niyaz
wah kya mother pidar aazad ye dildar hai
martabe mein 'mir' o 'momin' se hai har koi buland
in mein har be-bahr ghaalib se bada fankar hai
jis ke chamche jitne zyaada hon wo utna hi azim
aaj kal misra uthana ek karobar hai
dad sirf apno ko dete hain giroh-andar-giroh
un ke tole se jo bahar ho gaya murdar hai
ban gaya ustad-o-allama yahan har be-shuur
kor-chashm ahl-e-nazar hone ka dawedar hai
shairi juz-shairi hai hai zara mehnat-talab
aur mehnat hi wo shai hai jis se un ko aar hai
pop-music ke liye mauzun hai nasri shairi
har riwayat se baghawat ki ye dawedar hai
tab-e-mauzun gar na bakhshi ho khuda ne aap ko
shairi kyun kije aakhir kya khuda ki mar hai
dad dena aisi nazmon ko badi be-dad hai
jo na samjha aur kahe samjha bada makkar hai
Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close