al-aman taziyane gunahgar hathon mein hain be-gunahon ki khair wo jo qazi adalat gawah o sanad ilm-o-danish aur tahrir se munsalik ek riwayat ki tahzib thi wo kahin kho gai ek lamba safar ruk gaya kis liye ruk gaya al-hazar al-hazar! ye darinda-sifat nim wahshi mubtala-e-junun taziyane liye tazyanon ki zad mein tadapta badan khun ugalta badan kaisi kuchli hui khwahishon wahshiyana hawas-kariyon ka nishana bana kis jibillat ki taskin ka saman hua al-madad al-madad ai khuda! taziyane gunahgar hathon mein hain be-gunahon ki khair!
This is a great shayari of ehsan danish. True lovers of mubarak qazi shayari will love this. Please share if you liked this!!!