nazm

roz raat ke pahle pahar
kore kaghaz par tumhaara nam likhta hun

aur mausam-e-bahaar ka aaghaz ho jata hai
kaghaz par tumhaare nam se ek bel phutti hai

us ki konplen nikalti hain
khush-rang shagufe khilte hain

bel mohabbat ki dhun par nachna shurua kar deti hai
nachte nachte pure waraq ko gulistan kar deti hai

main thodi si khush-bu apne hathon par mal leta hun
kuchh rang apne chehre par laga leta hun

muskan honton par saja leta hun
baqi raat pure ek sau phulon ka itr kashid karta hun

itr apni bayaz par undel deta hun
nazm ban jati hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close