nazm

wo jawani ke nashe mein ladkhadati dolti jati hasina
main hun ek pazhmurda-o-pamal sa

darmandagi ke qahr ka mara hua behis musafir
jis ki nazron mein faqat us ke taaqub ki sakat baqi bachi hai

phir bhi mere jism ke ek zinda aur jawed hisse mein
ye dhadakne ki sada

un ki shaki hai
jo kahte hain ki mera jism khaki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close