khuda-e-har-do-jahan ne jab aadmi ko pahle-pahal saza di bahisht se jab use nikala to us ko bakhsha gaya ye sathi ye aisa sathi hai jo hamesha hi aadmi ke qarin raha hai tamam adwar chhan dalo riwayaton mein hikayaton mein azal se tarikh kah rahi hai ki aadmi ki jabin hamesha nadamaton se araq rahi hai wo waqt jab se ki aadmi ne khuda ki jannat mein shajr-e-mamnua chakh liya aur sarkashi ki tabhi se is phal ka ye kasila zaiqa aadmi ke kaam-o-dahan mein hir-phir ke aa raha hai magar nadamat ke talkh se zaiqe se pahle gunah ki be-panah lazzat