pagal laDki

apni mohabbat ke han karne
chhup ke nikah ke do bolon par khush hone aur

us hi khushi mein apne hathon ko mehndi se rangne wali
har-pal shokhi se muskati pagal ladki

is mehndi ka rang phika padne se pahle
tere sayyan

chhod ke baiyyan
apni ek nai duniya mein magan hue hain

ek do din mein tujh se jo kuchh lena hai wo sab kuchh le kar
aur talaq ki kalak tere munh par mal kar

mahr ke nam par ehsan kar ke
tujh ko aisa zer karenge ki sab shokhi

aankhon mein maujud ye masti
teri hasti

sab kuchh bas ek pal mein ulta ho jaega
teri qismat ke dukh jitne sanjida hain

pagal ladki
tu bhi yak-dam waisi hi sanjida hogi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close