parchhaiyan pakaDne wale

diary ke ye sada waraq
aur qalam chhin lo

aainon ki dukanon mein sab
apne chehre liye

ek barhana tabassum ke mohtaj hain
sard bazar mein

ek bhi chahne wala aisa nahin
jo unhen zindagi ka sabab bakhsh de

dhund se jagmagate hue shahr ki battiyan
sajda karti hui kahkashan

khub-surat khudaon ki phirti hui toliyan
aisa lagta hai sab

ek muddat se parchhaiyon ko pakadne mein masruf hain!!!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close