paron mein sham Dhalti hai

kahan jaana tha mujh ko
kis nagar ki khak baalon mein sajaana thi

mujhe kin tahniyon se dhup chunna thi
kahan khema lagana tha

meri mitti rah-e-sayyargan ki ham-qadam nikli
meri palkon pe tare jhilmilate hain

badan mein aag jalti hai
magar panw mein khun-asham raste ladkhadate hain

ye kya shiraaza-bandi hai
ye meri be-pari kis kunj se ho kar baham nikli

nazar mein din nikalta hai
paron mein sham dhalti hai

magar main to lahu ki munjamid sil hun
badan ki kisht-e-viran mein

ye kis ki ungliyon ne umr bhar mujh ko kureda hai
kahan shiryan mein chalta hua ye qafila thahra

ki main us hath ki rekhaon mein rang-e-hina thahra
kahan jaana tha mujh ko

kis jagah khema lagana tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close