sham ke dhalte utarne ke liye koshan hua karti hai jab jab makhmalin shab bagh ke atraf phaile sab gharon ki batiyan jalti hain ek ke baad ek ek aise mein patton ke sae khidkiyon ke lambe shishon par samete apna sara husn mujh ko dekh kar goya khushi se muskuraate hain jahan-e-dil sajate hain