purane sahilon par naya git

samundar chandni mein raqs karta hai
parinde baadalon mein chhup ke kaise gungunate hain

zamin ke bhed jaise chand taron ko batate hain
hawa sargoshiyon ke jal bunti hai

tumhein fursat mile to dekhna
lahron mein ek kashti hai

aur kashti mein ek tanha musafir hai
musafir ke labon par wapsi ke git

lahron ki subuk-gami mein dhalte
dastan kahte

jaziron mein kahin bahte
purane sahilon par gunjte rahte

kisi manjhi ke naghmon se gale mil kar palatte hain
tumhaari yaad ka safha ulatre hain

abhi kuchh raat baqi hai
tumhaara aur mera sath baqi hai

andheron mein chhupa ek raushni ka hath baqi hai
chale aana

ki hum us aane wali subh ko ek sath dekhenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close