pyar ka jashn nai tarah manana hoga gham kisi dil mein sahi gham ko mitana hoga kanpte honton pe paiman-e-wafa kya kahna tujh ko lai hai kahan laghzish-e-pa kya kahna mere ghar mein tere mukhde ki ziya kya kahna aaj har ghar ka diya mujh ko jalana hoga ruh chehron pe dhuan dekh ke sharmati hai jhenpi jhenpi si mere lab pe hansi aati hai tere milne ki khushi dard bani jati hai hum ko hansna hai to auron ko hansana hoga soi soi hui aaankhon mein chhalakte hue jam khoi khoi hui nazron mein mohabbat ka payam lab shirin pe meri tishna-labi ka inam jaane inam milega ki churana hoga meri gardan mein teri sandali bahon ka ye haar abhi aansu the in aaankhon mein abhi itna khumar main na kahta tha mere ghar mein bhi aaegi bahaar shart itni thi ki pahle tujhe aana hoga
This is a great manana shayari pic. True lovers of sharmati ladki shayari will love this. Shayari is the most beautiful way to express yourself and this hasna mana hai shayari is truly a work of art. Please share if you liked this!!!