pyasa unT

jis waqt mahaar uthai thi mera unt bhi pyasa tha
mashkize mein khun bhara tha aankh mein sahra phaila tha

khushk babulon ki shakhon par sanp ne halqe dale the
jin ki surkh zabanon se patton ne zahr kashid kiya

kali gardan pili aankhon wali ban ki ek chudail
nile panjon wale nakhun jin ke andar chikna mail

ek katora khushk lahu ka us mein lakhon rengte bichchhu
hum donon ne tez kiye the upar niche wale dant

khushk lahu ko kat ke khaya aur piya phir mashkiza
us ke baad achanak dekha sahra khun ka dariya tha

main aur dayan sanp aur bichchhu sab kuchh us mein dub rahe the
lekin unt wo pyasa mera hum se dar kar bhag gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close