qatra qatra tishnagi

kunware khet meri khwahishon ke
tishnagi ki dhup mein

jalte hain
sim aur thur mayusi ke

kale qahr ki surat
lahu ka ek ek qatra

ragon se chuste jate hain
pile mausamon ki chup

bani hai bhag ki rekha
ki sadiyon se pada hai qaht giton ka

jo fasl katte waqt gati hain
thirakti nachti

basti ki baalaen
yahan sadiyon se barkha-rut ko

jiwan ka har ek lamha
tarasta hai

yahan kheton ke lab ki papdiyon par
tishnagi ka

qatra qatra bas tapakta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close