shirin nirmal jharne jaisi thandi taza hawa ke aisi rim-jhim aur barkha ki tarah tu suraj aur chanda si sakhi hai jalti dhup mein baadal hai tu rab ke pyar ki chhagal hai tu han man bilkul aisi hai tu to sita to mariyam hai man rabiya aur safiya hai tu hai yashodha tu hai halima zainab tu hai fatima hai tu parwati aur dewki hai aamna aur hawwa hai tu ye dharti ye duniya tujh se duniya ki sab raunaq tujh se tu duniya ki malik hai ye duniya teri hai man tu ne hum ko kya kya bakhshe pair payambar bhai dost aur phulon si bahna di har sukh aur har gham ki sathi bilkul apni hi jaisi mahbuba bhi tu ne di tu sach-much dewi hai man sare rishte nate tujh se rishton ki janani hai tu han man bilkul aisi hai tu tu hai karim aur tu hai halim khaliq tu hai raaziq hai tu sattari ghaffari tujh mein rahmat aur azmat ki murat rab ke sare gun hain tujh mein man bilkul tu rab jaisi hai ya shayad rab tere jaisa kyun ki man ab rab bhi to teri tarah majbur bahut hai apnon ke zakhmon se wo bhi lagta hai ki chor bahut hai man bilkul tu rab jaisi hai ya shayad rab tere jaisa