raqqasa-e-auham

asnam-e-imarat ka parastar hai aalam
sarmaya-e-ghaflat ka kharidar hai aalam

katti hain sada sidq maqalon ki zabanen
haq-go ke liye arsa-gah-e-dar hai aalam

darwesh-e-khuda nan-e-shabina ko hai muhtaj
go neamat-o-ikram ka bazar hai aalam

shadab hai din-raat gharibon ke lahu se
arbab-e-zar-o-sim ka gulzar hai aalam

khud zahid-e-sad-sala giraftar hai jis mein
wo halqa-e-tazwir-o-fusun-zar hai aalam

har gam pe hai shoabada-e-nafs ka phanda
raqqasa-e-auham ka darbar hai aalam

dil khizr ka hai naghma-e-be-mani pe raqsan
tahzib ke pazeb ka jhankar hai aalam

is qahba-e-bazari se rakho na tawaqqo
ehsan faramosh-o-ziyan-kar hai aalam

sar rakhta hai aawara-mizajon ke qadam par
ye haq mein wafadaron ke talwar hai aalam

shair ke nahin sine mein gunjaish-e-takiya
mana ki bahut dilkash-o-purkar hai aalam

is ahd-e-pur-ashob mein 'bebak' na puchho
kis darja jafa-kash-o-sitam-gar hai aalam


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close