main ne use nahin dekha jab tak us ne sare charagh gul nahin kar diye andhere mein mujhe chaaron taraf wahi nazar aai darawne jangal mein rasta banate jugnuon ki tarah ho sakta hai main hadsati taur par raushni mein aa jaun lekin ab wo jaan chuki hai charagh jalte hi mujhe jugnu nazar aana band ho jate hain