sard, tarik raat

is qadar tera o sard hargiz na tha dil ka mausam kabhi
ek pal mein khuda jaane kya ho gaya

chand ki wadiyon mein utar aai shab!
main wo tanha subuk-pa musafir tha takmil ki justuju

khinch lai thi ek roz jis ko yahan
aarzu thi mujhe main zamin ke liye

meri tarrar purkar chashm-e-nihan
faslon sarhadon

waqt ke sab hisaron ke us par ki
shahr-e-imroz mein

an-ginat khubsurat tasawir aawezan kar degi jab
dur ki har pur-asrar sarshaar aawaz mere lahu mein utar jaegi

mere daman ko phulon se bhar jaegi
sard se sard-tar

har ghadi ho rahi hai rag-o-pai mein bahte anasir ki rau
shab guzar jaegi

chand ki munjamid wadiyon mein sulagti hui raushni
subh-dam ek pal mein umand aaegi

mujh ko dar hai magar
saat-e-nau ke hangam se peshtar

tera sard shab ka bhayanak amal
dil ke aafaq par

ho na jae kahin maut tak hukmaran
khatm ho jae takmil ki dastan!!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close