sarojini-naidu

aziz man meri hansmukh meri bahadur man
tamam jauhar-e-fitrat jaga diye tu ne

mohabbat apne chaman se gulon se kharon se
mohabbaton ke khazane luta diye tu ne

bana bana ke mitae gae nuqush-e-amal
tere baghair mukammal na ho saki taswir

wo khwab jhansi ki rani ko jis ne chaunkaya
tera gihad-e-musalsal usi ki hai tabir

use hayat ka sola singar kahte hain
teri jabin pe hain kuchh silwaten bhi tika bhi

nazar mein jazb-e-yaqin dil mein soz-e-azadi
dahakta phul bhi hai tu mahakta shoala bhi

zara zamin ko mehwar pe ghum lene de
samaj tujh se tera soz-o-saz mangegi

jamal sikhega khud-e'timadiyan tujh se
hayat-e-nau tere dil ka gudaz mangegi


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close