shayad

wo jhuk ke zamin par
baghlon mein de kar hath hamari

hum ko uthata hai
taron tak lata hai

phir hath hata kar
hum ko girne chhodta hai

sard o tarik khalaon mein
shayad us ki ye khwahish hoti hai

hum apne donon bazu lahraen
aur upar uthte jaen

hatta ki
tanhai ke abad mein us ke dakhil hon

aur hath badha kar
kanpti poron se apni

us ke ghamgin chehre ko chhu len


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close