taKHliq ki saaton mein

kuchh kahun to dam ghutta hai
aur khamoshi mujhe andar se katti hai

khayalat par lafzon ke pahnawe
pure nahin aate

kaghazon par dukh utarna bhi to dukh ki baat hai
nazmen mujhe khali kar deti hain

ye shairi to mujhe uryan kar degi!
main aur kitne chehre pahnun

binai ke jamghate mein
bar bar khud se bichhad jata hun

so main ne apni yaad-dasht mein ek
tanhai takhliq ki

taki us mein baith kar mujhe khud ko dohrane
ka mauqa milta rahe

fursat ne mujhe thaka diya tha
shukr hai! main apne kisi kaam to aaya!


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close