tota

tote wala tote laya
tote lo tote chillaya

sabz paron ki wardi sab ki
tedhi chonch nirale dhab ki

tote wale ko bulwa kar
ek tote ke dam chuka kar

qimat di aur hum ne kharida
lohe ke pinjre mein rakkha

pinjre mein ek roti dali
khush ho kar tote ne utha li

aap to bas thoda hi khaya
kutar kutar kar dher lagaya

hum ne use kuchh bol sikhae
lafz bahut se yaad karae

din bhar ten ten karta rahta
phal le le ke kutarta rahta

lafz bahut se jaan gaya tha
jumle bhi pahchan gaya tha

ratta rahta jumle yahi do
mitthu bete nabi ji bhejo

subh andhere shor machata
shor macha kar sab ko jagata

qaid ka yun dukh sahte sahte
muddat guzri rahte rahte

ek din khidki khuli jo pai
phir kya tha us ki ban aai

dekho tote ki ustadi
ud kar hasil ki aazadi

ab ye baghon mein jaega
yaron mein ji bahalaega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close