jhut ki garmi-e-bazar kahan se laun raqs-e-be-mani ki jhankar kahan se laun dhund ke hila-e-takzib barae-insaf be-muhaba sar-e-darbar kahan se laun be-khabar ishq se hain aaj riya-kar shuyukh jazb-e-mansur sar-e-dar kahan se laun bech kar chadar-e-zahra ko sajata firdaus reshmi makr ki dastar kahan se laun maut ki god mein hai aarif-o-dana ka wajud dil-ruba fikr-e-sahar-kar kahan se laun mein wo fankar hun ikhlas hai jis ka shahkar makr-o-tarwiz ki guftar kahan se laun khanqahon mein bhi raij hai hawas ki tadris ba-khuda shaikh-e-nigah-dar kahan se laun maktab-e-nau ka moallim hai farangi baqqal buzar-o-khalid-o-karrar kahan se laun ruh-e-tauhid ki qatil hai siyasi talim sar-faroshan-e-wafadar kahan se laun khub waqif hun hadis-e-mai-o-mina se magar aalam-e-hashr mein dildar kahan se laun saz-e-fitrat pe ghazal-khwan hai shuur-e-tanqid kaghzi kakul-o-rukhsar kahan se laun shola-zan daman-e-giti hai to mazmun koi jinsiyat-bakhsh trahdar kahan se laun dil ka paimana hai zahrab-e-alam se labrez bulbul-e-zamzama-asar kahan se laun tazkire hain qad-o-gesu ke bahar-taur aziz muflisi mein dil-e-gulbar kahan se laun tishnagi sahab-e-nama ki bujhane walo aabru-bakhta shahkar kahan se laun arsa-e-dahr ka har zarra hai aatish-ba-kanar ramish-o-rang ke ashaar kahan se laun jannati hone ki mana ki sanad bikti hai ganj-e-qarun ka ambar kahan se laun zeb-e-tan waqt ka pairahan-e-shoala hai abhi kaif-angez main afkar kahan se laun khair-agah mera fikr hai masruf-e-amal bahs-o-takrar ki talwar kahan se laun jaan pad sakti hai 'bebak' tan-e-murda mein mard-e-'faruq' sa kirdar kahan se laun