tu tu main main

gajar boli b muli se
dekho mere dhang nirale

lal gulabi rang hai mera
mitha ek ek ang hai mera

mujh se halwa log banaen
is mein mewa-jat milaen

khub maze le le kar khaen
mujh se kitna pyar jataen

tu to apni aap saza hai
rang bura be-kar maza hai

tikhi itni munh jal jae
tujh ko kitne log na khae

muli boli taish mein aa kar
jalti hai tu mujh se gajar

chandi jaisa rang hai mera
ujla ek ek ang hai mera

main hun har pakwan ki sathi
yani dastar-khwan ki sathi

khaen mujh ko log gharon ghar
kya shabraati kya murli-dhar

tu to hai har fitne ki jad
dur karun main pet ki gadbad

main unchi hun tu hai nichi
yani mere pair ki juti

sun kar tu tu main main un ki
samjhane ko lauki aai

boli lauki jhagda kaisa
insanon ka ye hai shewa

apna to sansar alag hai
yani karobar alag hai

ek duje se jal jal marna
insanon ki baaten sab hain

hindu muslim sikh isai
na-danon ki zaten sab hain

lekin muli gajar lauki
aapas mein hain apne sare

sab achchhe hain sab kar-amad
ek bagiya ke sapne sare

chhodo jhagda aur ladai
aapas ki ye mar katai

ab aapas mein jang na karna
ek duje ko tang na karna


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close