tum bhi

muddaton baad aai ho tum
aur tumhein itni fursat kahan

an-kahe harf bhi sun sako
aarzu ki wo tahrir bhi padh sako

jo abhi tak likhi hi nahin ja saki
itni mohlat kahan

mere baghon mein jo khil na pae abhi
un shagufon ki baaten karo

dard hi bant lo
mere kin mahtabon se tum mil sakin

kitni aankhon ke khwabon se tum mil sakin
han tumhaari nigah-e-sataish ne

ghar ki sab aaraishen dekh lin
tan ki aasaishen dekh lin

mere dil mein jo paikan taraazu hue
tum ko bhi

lala-o-gul ke be-sakhta istiare lage


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close