udasi

abhi jang jari hai
jalne lagin bastiyan

uth raha hai dhuan
ek khun-rez dariya darakhton ko sairab karta hai

jangal mai-e-nab se kitna masrur hai
jangal jari kahan hai

wo dekho pahadon ke daron mein bhagdad machi hai
bikharti hui fauj ke surma

pith par zakhm khane ke shaida
unhin ki hai miras sari udasi

jo basti ke kheton mein
gandum ke khoshon mein chhup kar

shikam mein utarti hai
tarik kamron mein munh ko chhupati hai

aawaz de koi aawaz de
aao barfili choti pe dauden

samundar mein ghote lagaen
taaqub karen maut ka

aur aisa bhi ho
zindagi tohfa-e-jang

daudate ghode se
banhon mein le kar nikal jaen sarpat kahin

do-ghadi ke liye
abhi jang jari hai

jangal ko sairab karta hai khun-rez dariya
ki jangal ka qanun bhi to yahi hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close