unhen kah do

sidhiyan chadhti hui
nabzon ko roko

upri manzil pe
ghabraya hua ek hafiza

tashkik ke mehwar pe
kal shab se

musalsal ghumta hai
is se na-waqif nahin

hum tum
magar pani ki shakhon mein

phanse alfaz
dharti par nahin girte

unhen kah do
ki bachpan se ulajh kar

jab bhi
aankhon ke kinare

ret ka koi gharaunda
tut jata hai

to dariya mein
bhayanak badh aati hai

samundar naza ke aalam mein
aksar chikhta hai

sidhiyan chadhti hui
nabzon se kah do


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close