wapsi

aziyyat aur is sukun
donon ko hi dil khol ke main ne lutaya hai

hazaron bar aisa bhi hua hai
doston ki rahnumai mein

phira hun mara mara
shahr ki aabaad sadkon par

kabhi viran galiyon mein
kabhi sahraon ki bhi khak chhani hai

magar is bar jaane kya hua mujh ko
numaish ki dukanon mein

saja kar khud ko ghar wapas chala aaya
abhi darwaza main ne khatkhataya tha

ki ghar walon ne kina-tuz nazron se mujhe dekha
jab un ki aankhon mein,

koi ramaq pahchan ki main ne nahin pai
to ulte pairon wapas laut aaya hun

aur ab ye sochta hun
doston ki rahnumai mein

unhin galiyon mein sahraon mein ja kar
apne qadmon ke nishan dhundun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close