waqt ke kaTahre mein

suno tumhaara jurm tumhaari kamzori hai
apne jurm pe

rang-birange lafzon ki be-jaan ridaen mat dalo
suno tumhaare khwab tumhaara jurm nahin hain

tum khwabon ki tabir se dar kar
lafzon ki tarik gupha mein chhup rahne ke mujrim ho

tum ne hawaon ke zine par
panw rakh kar

qaus-e-quzah ke rang samete
aur khalaon mein udte

farzi taron sayyaron ki baaten kin
tum mujrim ho us nannhi konpal ke jis ne

subh ki pahli shokh kiran se sargoshi ki
tum mujrim ho us aangan ke jis mein shayad

ab bhi tumhaare bachpan ki masum shararat zinda hai
tum mujrim ho tum ne apne panw se lipti mitti ko

ek izafi chiz samajh kar jhad diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close