waqt ki rail gaDi

main tujhe dhundne nikla ghar se
aur apna hi pata bhul gaya

ab na wo tu hai na main
na wo rasta hai na ped

na wo mandir hai
na kutiya

na charagh
ab na wo tu hai na main

aur wo log kahan kaise hain
main jinhen bhul ke khush hun

jo mujhe yaad bhi aaen
kaisi diwar hai ye nim-faramoshi ki

aao diwar giraen
aur agar ye na gire

aao dhundhen
yahin honge kahin rima jauzaf…

main tere kurte ka daman thamun
aao hum rail banaen

aao hum rail ko pichhe le jaen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close