waqt ki ret pe

waqt ki ret pe suraj ne lahu thuka phir
saaten koda ke daghon mein naha kar niklin

machhliyan lams ke hathon mein ghadi bhar na rukin
haddiyan khwab ke kutton ne chabain shab bhar

hijraten apne muqaddar mein lahu-chehra hain
kaun khamyaza bhugatne ki salakhen chate

kaun zanjir ke halqon mein samundar bandhe
kaun lafzon ke mazaron pe nae phul rakhe

kaun sayon ko talashe yahan qindil liye
abrha kaba ki diwar ke sae mein jale

kanch ki chudiyan bajti hain lahu ki tah mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close