nubuwwat ka silsila khatm ho chuka raunat ka silsila jari hai ab koi zamana kisi nabi ka zamana nahin har daur ek firaun ka daur hai jis ke qabze mein qarun ka khazana hai jis ne ambiya ki miras par qabza kar liya hai use pahchanna mushkil nahin us ke pas tauhin risalat ki talwar hai jo us par iman na laen wo lapata ho jate hain jo iman le aaen unhen wo khizr ki tarah talash kar leta hai nuh ki tarah us ki kashti mein har-nau ka jaanwar hai us ke mahal mein sulaiman ka takht bichha hai mukhalifin ke liye us ke qaid-khane mein isa ki suli hai farishton ka lashkar use sajda karta hai kyunki us ki baghal mein musa ka asa hai