wo aalam khwab ka tha so rahe the sab magar ek wo akela jag utha tha kuchh aise nind tuti thi ki har har uzw be-kal tha badan sara taghayyur ki talab mein mahi-be-ab ki surat tadapta tha junun-o-be-qarari ne ragon mein bijliyan bhar din hazaron sal se rakkhe hue patthar ko sarkaya wo apne ghaar se bahar nikal aaya nigahen raushni se chaar ho kar jun hi paltin us ne khud ko zindagi se wasl ke imkan mein paya bahut lamba bahut dushwar rasta tai kiya us ne na jaane kitne dariya koh-o-sahra darmiyan aae tilism-o-haft-khwan aae tab us shahr-e-buland-o-baala-o-pur-kaif mein pahuncha jahan insan aur haiwan sab bedar rahte the bade be-khar hote the zaban thi sukh ke kanta papote phul ke kuppa ki us par jagte rahne ka aisa shauq ghaalib tha badan wahshat ka talib tha magar ye kya use malum ye kab tha zara jo mukhtalif ho shahr-e-bedaran mein us par kya guzarti hai dukanen jin ki unchi thin use mukhbir samajhte the jo masha-khor the pheri lagate the use pagal batate the wahan bazar mein koi use kuchh bhi na deta tha jo sikke pas the us ke unhen koi na leta tha wo wapas ja na sakta tha khuda-e-lam-yazal ke hukm se us ghaar ka munh band tha phir se ajab be-yawari na-ashnai thi saza mahz us ne aankh khul jaane ki pai thi