wo jo shaer tha

wo jo shaer tha, chup sa rahta tha
bahki bahki si baaten karta tha

aankhen kanon pe rakh ke sunta tha
gungi khamoshiyon ki aawazen!

jama karta tha chand ke sae
gili gili si nur ki bunden

ok mein bhar ke khadkhadata tha
rukhe rukhe se raat ke patte

waqt ke is ghanere jangal mein
kachche pakke se lamhe chunta tha

han, wahi, wo ajib sa shaer
raat ko uth ke kuhniyon ke bal

chand ki thodi chuma karta hai!!
chand se gir ke mar gaya hai wo

log kahte hain khud-kushi ki hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close