ye kahan jaenge

moajiza tha ajab
aahani chanchanahat se zanjir khud apne qadmon mein aa kar giri

bhaari-bharkam dahane khule
aur charkh chun ki fariyaad ke sath

patri par dabbe sarakne lage
subh ki dudhiya chhanw mein

aankh malte hue sab ye hairat-zada dekhte the
koi khinchne wala engine na tha

aur tarai utarti gai
un ki raftar badhti gai

khar-o-khas ko kuchalti hui
tez se tez-tar

tez tar tez-tar
ab ye patri jahan un ko le jae

jaenge
ab ye musafir

jo is fazl-e-rabbi pe nazan the
hairan hain

mashkuk nazron se
ek dusre se gurezan se

wahmon ko dil mein chhupae hue
tez raftar badhte chale jaenge

ye kahan jaenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close