ye raat hogi tawil kitni

ye raat hogi tawil kitni
buland hogi fasil kitni

ye khauf-o-dahshat ka daur-daura
rahega kab tak

gali gali kucha kucha pahra
rahega kab tak

ye aag jangal ki aag kab tak
falak se barsegi rakh kab tak

sitare tutenge aur kab tak
yun aasman se

parind ruthenge aashiyan se
ye phul-patte hawaen shabnam

karenge kis kis ka aur matam
siyah pur-haul aandhiyon ka ye mauj mela

rahega kab tak
muqable mein shajar akela

kadakti bechain bijliyon ka
zamin ki jaanib safar kabhi to tamam hoga

phirenge dharti ke din yaqinan
kabhi to bandon pe lutf-e-rabb-e-anam hoga

hasin titli ke narm-o-nazuk paron ki jumbish
dhanak ke khush-dida rang har-su

bikher degi
kabhi to baad-e-nasim khushbu bikher degi

mujhe yaqin hai ki kal ke suraj ki muskurahat
zamin ke mahrum basiyon ko

nai sahar ka payam degi
labon ko izn-e-kalam degi

mujhe yaqin hai wo din bhi aaega
jab urus-e-chaman ke qadmon ki dhimi aahat sunai degi

bahaar lamhon ki gungunahat sunai degi
tuyur chahkenge baaliyon par

gulab mahkenge daliyon par
kabhi to dekhega sar utha kar

chaman mein nanha sa koi pauda
kabhi to jhankega baadalon ka hata ke ghunghat

kahin ye chhota sa ek sitara
kabhi to niklega chand pura

ye ghar ye aangan chamak uthega
har ek chehra damak uthega

mujhe yaqin hai
kabhi to utrega aasman se koi farishta

padhega chehre pe jo likha hai
sunega wo bhi jo hum ne ab tak nahin kaha hai

siyah raaton ki tirgi ka
tawil be-kaif zindagi ka

koi to aa kar hisab dega
hamari aankhon mein khar ban kar

jo chubh rahe hain sawal un ka
jawab dega


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close