ye zard bachche

gharon ki raunaq
ye zard bachche

padhen likhenge jawan honge
maash ki fikr in ki qismat

talash-e-farda hayat in ki
ye rahguzaron pe apne mauhum khwab le kar phira karenge

ye ghar banaenge shadyane bajaenge aane wale rangin dinon ki khatir
ye chand luqmon ki zindagi ka maal samjhenge hasb-e-dastur

umr bhar un ko ungliyon par gina karenge
ye mera hissa

ye tera hissa
phir ek din

ye bhi zard bachchon ke bap honge
aur un ki khatir dua karenge

daraaz ho in ki umr dekhen ye sau bahaaren


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close