be-bak andhere

jab kabhi shab ke tilismat mein kho jata hun
ya tere husn ki aaghosh mein so jata hun

teri taswir ubharti hai pas-e-parda-e-khwab
ek tute hue be-laus sitare ki tarah

chir kar sina-e-afaq ki tarik faza
az-rah-e-wafa teri taswir utha leta hun

aariz-o-lab ke jawan git chura leta hun
dur tak jada-e-farda pe mahak uthte hain

ummid ke phul khwab-e-farda ke gulab
jagmagate hain mere dal ke charagh

aur jab sarhad-e-idrak pe sine se lagae hue taswir teri
sans leta hun thahar jata hun

na-gahan
aandhiyan chalti hain udati hui dhul

gham ke tufan machal jate hain
teri taswir ke ubhre hue sab naqsh-o-nigar

ja ke bebak andheron se lipat jate hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close