masjid-e-qurtuba

silsila-e-roz-o-shab naqsh-gar-e-hadsat
silsila-e-roz-o-shab asl-e-hayat-o-mamat

silsila-e-roz-o-shab tar-e-harir-e-do-rang
jis se banati hai zat apni qaba-e-sifat

silsila-e-roz-o-shab saz-e-azal ki fughan
jis se dikhati hai zat zer-o-bam-e-mumkinat

tujh ko parakhta hai ye mujh ko parakhta hai ye
silsila-e-roz-o-shab sairafi-e-kaenat

tu ho agar kam ayar main hun agar kam ayar
maut hai teri baraat maut hai meri baraat

tere shab-o-roz ki aur haqiqat hai kya
ek zamane ki rau jis mein na din hai na raat

aani-o-fani tamam mojaza-ha-e-hunar
kar-e-jahan be-sabaat kar-e-jahan be-sabaat

awwal o aakhir fana baatin o zahir fana
naqsh-e-kuhan ho ki nau manzil-e-akhir fana

hai magar is naqsh mein rang-e-sabaat-e-dawam
jis ko kiya ho kisi mard-e-khuda ne tamam

mard-e-khuda ka amal ishq se sahab farogh
ishq hai asl-e-hayat maut hai us par haram

tund o subuk-sair hai garche zamane ki rau
ishq khud ek sail hai sail ko leta hai tham

ishq ki taqwim mein asr-e-rawan ke siwa
aur zamane bhi hain jin ka nahin koi nam

ishq dam-e-jibrail ishq dil-e-mustafa
ishq khuda ka rasul ishq khuda ka kalam

ishq ki masti se hai paikar-e-gil tabnak
ishq hai sahba-e-kham ishq hai kas-ul-karam

ishq faqih-e-haram ishq amir-e-junuud
ishq hai ibnus-sabil is ke hazaron maqam

ishq ke mizrab se naghma-e-tar-e-hayat
ishq se nur-e-hayat ishq se nar-e-hayat

ai haram-e-qurtuba ishq se tera wajud
ishq sarapa dawam jis mein nahin raft o bud

rang ho ya khisht o sang chang ho ya harf o saut
mojaza-e-fan ki hai khun-e-jigar se numud

qatra-e-khun-e-jigar sil ko banata hai dil
khun-e-jigar se sada soz o surur o surud

teri faza dil-faroz meri nawa sina-soz
tujh se dilon ka huzur mujh se dilon ki kushud

arsh-e-moalla se kam sina-e-adam nahin
garche kaf-e-khak ki had hai siphar-e-kabud

paikar-e-nuri ko hai sajda mayassar to kya
us ko mayassar nahin soz-o-gudaz-e-sajud

kafir-e-hindi hun main dekh mera zauq o shauq
dil mein salat o durud lab pe salat o durud

shauq meri lai mein hai shauq meri nai mein hai
naghma-e-allah-hu mere rag-o-pai mein hai

tera jalal o jamal mard-e-khuda ki dalil
wo bhi jalil o jamil tu bhi jalil o jamil

teri bina paedar tere sutun be-shumar
sham ke sahra mein ho jaise hujum-e-nukhil

tere dar-o-baam par wadi-e-aiman ka nur
tera minar-e-buland jalwa-gah-e-jibrail

mit nahin sakta kabhi mard-e-musalman ki hai
us ki azanon se fash sirr-e-kalim-o-khalil

us ki zamin be-hudud us ka ufuq be-saghur
us ke samundar ki mauj dajla o danyub o nil

us ke zamane ajib us ke fasane gharib
ahd-e-kuhan ko diya us ne payam-e-rahil

saqi-e-rabab-e-zauq faras-e-maidan-e-shauq
baada hai us ka rahiq tegh hai us ki asil

mard-e-sipahi hai wo us ki zirah la-ilah
saya-e-shamshir mein us ki panah la-ilah

tujh se hua aashkar banda-e-momin ka raaz
us ke dinon ki tapish us ki shabon ka gudaz

us ka maqam-e-buland us ka khayal-e-azim
us ka surur us ka shauq us ka niyaz us ka naz

hath hai allah ka banda-e-momin ka hath
ghaalib o kar-afrin kar-kusha karsaz

khaki o nuri-nihad banda-e-maula-sifat
har do-jahan se ghani us ka dil-e-be-niyaz

us ki umiden qalil us ke maqasid jalil
us ki ada dil-fareb us ki nigah dil-nawaz

aaj bhi is des mein aam hai chashm-e-ghazal
aur nigahon ke tir aaj bhi hain dil-nashin

bu-e-yaman aaj bhi us ki hawaon mein hai
rang-e-hijaz aaj bhi us ki nawaon mein hai

dida-e-anjum mein hai teri zamin aasman
aah ki sadiyon se hai teri faza be-azan

kaun si wadi mein hai kaun si manzil mein hai
ishq-e-bala-khez ka qafla-e-sakht-jaan

dekh chuka almani shorish-e-islah-e-din
jis ne na chhode kahin naqsh-e-kuhan ke nishan

harf-e-ghalat ban gai ismat-e-pir-e-kunisht
aur hui fikr ki kashti-e-nazuk rawan

chashm-e-faransis bhi dekh chuki inqalab
jis se digar-gun hua maghrabiyon ka jahan

millat-e-rumi-nizhad kohna-parasti se pir
lazzat-e-tajdida se wo bhi hui phir jawan

ruh-e-musalman mein hai aaj wahi iztirab
raaz-e-khudai hai ye kah nahin sakti zaban

narm dam-e-guftugu garm dam-e-justuju
razm ho ya bazm ho pak-dil o pak-baz

nuqta-e-parkar-e-haq mard-e-khuda ka yaqin
aur ye aalam tamam wahm o tilism o majaz

aql ki manzil hai wo ishq ka hasil hai wo
halqa-e-afaq mein garmi-e-mahfil hai wo

kaba-e-arbab-e-fan satwat-e-din-e-mubin
tujh se haram martabat undulusiyon ki zamin

hai tah-e-gardun agar husn mein teri nazir
qalb-e-musalman mein hai aur nahin hai kahin

aah wo mardan-e-haq wo arabi shahsawar
hamil-e-khalq-e-azim sahab-e-sidq-o-yaqin

jin ki hukumat se hai fash ye ramz-e-gharib
saltanat-e-ahl-e-dil faqr hai shahi nahin

jin ki nigahon ne ki tarbiyat-e-sharq-o-gharb
zulmat-e-europe mein thi jin ki khirad-rah-bin

jin ke lahu ke tufail aaj bhi hain undulusi
khush-dil o garam-ikhtilat sada o raushan-jabin

dekhiye is bahr ki tah se uchhalta hai kya
gumbad-e-nilofari rang badalta hai kya

wadi-e-koh-sar mein gharq-e-shafaq hai sahab
lal-e-badakhshan ke dher chhod gaya aaftab

sada o pur-soz hai dukhtar-e-dahqan ka git
kashti-e-dil ke liye sail hai ahd-e-shabab

aab-e-rawan-e-kabir tere kinare koi
dekh raha hai kisi aur zamane ka khwab

aalam-e-nau hai abhi parda-e-taqdir mein
meri nigahon mein hai us ki sahar be-hijab

parda utha dun agar chehra-e-afkar se
la na sakega farang meri nawaon ki tab

jis mein na ho inqalab maut hai wo zindagi
ruh-e-umam ki hayat kashmakash-e-inqilab

surat-e-shamshir hai dast-e-qaza mein wo qaum
karti hai jo har zaman apne amal ka hisab

naqsh hain sab na-tamam khun-e-jigar ke baghair
naghma hai sauda-e-kham khun-e-jigar ke baghair


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close