qarib aa ki mohabbat ka ehtimam karenShayari By 20 Apr 2024 06:34:45 AMQitaqarib aa ki mohabbat ka ehtimam karen zamana bit gaya dil pe chot khae hue mujhe bhi ek nae zakhm ki zarurat hai tujhe bhi ho gai muddat mujhe satae hue [...] Continue Reading... Share on:
hai apne hath mein ab to nizam-e-kashanaShayari By 24 Oct 2023 06:08:29 PMQitahai apne hath mein ab to nizam-e-kashana ki apna shisha-o-saqi hai apna paimana piyo pilao wo hubb-e-watan ki mai 'laeq' nazar na aae zamane mein koi begana [...] Continue Reading... Share on:
wo jo sarhadon ki lakir thiShayari By 03 Oct 2023 01:31:59 AMQitawo jo sarhadon ki lakir thi use chah ke bhi na mita saki hua yun ki umr guzar gai na wo aa sake na main ja saki [...] Continue Reading... Share on:
lahad ki god mein aa kar sukun paya haiShayari By 03 Oct 2023 01:29:26 AMQitalahad ki god mein aa kar sukun paya hai hayat talkh thi barson akela roya hun kahan uthunga qayamat ke roz se pahle barahna panw safar kar ke thak ke soya hun [...] Continue Reading... Share on:
ek tamanna hai sitam jaan ke gar sah jaoShayari By 03 Oct 2023 01:26:50 AMQitaek tamanna hai sitam jaan ke gar sah jao kal chale jaana magar aaj ka din rah jao khush-nasibi hai ki tum aaj yahan ho par kal ye na ho waqt ke dhaare mein kahin bah jao [...] Continue Reading... Share on:
aao ki sahilon se zara sipiyan chunenShayari By 03 Oct 2023 01:24:17 AMQitaaao ki sahilon se zara sipiyan chunen jo khwab rah gae the unhen phir se dekh len suraj ko aao hath mein dekhen pakad ke aaj hiddat ko us ki ab zara mahsus hum karen [...] Continue Reading... Share on: