dil pe jo tere ghum ki inayat nahi hoti aankhon se aansuon ki rafaakat nahi hoti hum

Dil pe jo tere ghum ki inayat nahi hoti
aankhon se aansuon ki rafaakat nahi hoti
hum rehnuma se iltizaa kare tou kyun kare
dariya ko raaston ki zaroorat nahi hoti
bujhta hai ai chiraag-e-zindagi tou bujh jaye
ab humse teri aur hifaazat nahi hoti
jane yeh log kaise nibhate hai jafaaein
humse tou iss gunaah ki himmat nahi hoti
patthar kahon use tou kis zuban se kahon
pattharon mein itni nazakat nahi hoti
tujhko gaye hue tou zamane guzar gaye
yaad teri iss dil se kyun rukhsat nahi hoti
jo bhul jaye tumko tum bhi usko bhula do
woh mohabbat tou mohabbat nahi hoti

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close