aaina dekhte hi wo diwana ho gaya dekha kise ki shama se parwana ho gaya gul kar ke shama soe the hum na-murad aaj raushan kisi ke aane se kashana ho gaya diwana qais pahle hamein chhedta raha phir rafta rafta najd mein yarana ho gaya kafi na mohr-e-khum ko hue lukka-ha-e-abr ab is qadar wasia ye khum-khana ho gaya hasil ba-ikhtisas hai us dil ko ye sharaf kaba bana kabhi kabhi but-khana ho gaya lae chura ke bahar-e-parastish buton ko ghar viran chaar roz mein but-khana ho gaya munh chum lun ye kis ne kaha mujh ko dekh kar diwana tha hi aur bhi diwana ho gaya todi thi jis se tauba kisi ne hazar bar afsos nazr-e-tauba wo paimana ho gaya mai tauba ban ke aai thi lab tak ki ai 'riyaz' labrez apni umr ka paimana ho gaya