aaine ke ru-ba-ru ek aaina rakhta hun main raat-din hairat mein khud ko mubtala rakhta hun main doston wali bhi ek khubi hai un mein is liye dushmanon se bhi musalsal rabta rakhta hun main roz-o-shab main ghumta hun waqt ki pur-kar par apne chaaron samt koi daera rakhta hun main khatkhatane ki bhi zahmat koi aakhir kyun kare is liye bhi ghar ka darwaza khula rakhta hun main aaj-kal khud se bhi hai ranjish ka koi silsila aaj-kal khud se bhi thoda fasla rakhta hun main chand yaaden ek chehra ek khwahish ek khwab apne dil mein aur kya un ke siwa rakhta hun main chand taswiren kitaben khushbuen aur ek phul apni almari mein 'tabish' aur kya rakhta hun main