aaj is waqt wo jab yaad aaya dil ke dukhne ka sabab yaad aaya yaad padta hi nahin hai mujh ko kab main bhula use kab yaad aaya jin ki tabir se aankhen nam hain phir wahi khwab-e-tarab yaad aaya aaj ye raat kategi kyunkar aaj phir wo be-sabab yaad aaya