aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal

aaj sun li hai mere ahbab ne meri ghazal
aaj apni manzil-e-maqsud par pahunchi ghazal

jab sunai aap ne to ba-adab sun li ghazal
aur jab koshan hua to be-dhadak kah di ghazal

ye lab-o-rukhsar ye chehra tera pur-nur sa
tujh ko kya dekha laga jaise koi dekhi ghazal

kal jo dekhi thi ghazal to dil ki dhadkan ruk gai
aaj jo dekhi ghazal to ban ke dil dhadki ghazal

zulf ula chashm sani qafiya rukh lab radif
rab ne tum ko hai tarasha ya koi likkhi ghazal

qafiya rutha hua tha munh chidati thi radif
tum kya ruthe raat bhar thi raat bhar ruthi ghazal

tahat mein jab bhi padhi to ban ke nikli inqalab
jab tarannum mein padhi to jhum uthi meri ghazal

hain ye asnaf-e-adab jaan-e-sukhan-dan shairi
nazm meri sans hai aur zindagi meri ghazal

kah uthe hain sab sukhnawar ahl-e-mahfil ye 'shahab'
jo tere lab se hui aakhir wahi thahri ghazal


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close