aalam ho qahr ka to labon par dua na ho

aalam ho qahr ka to labon par dua na ho
is khamushi pe main bhi ye dekhun ki kya na ho

ab to hamare ahd mein firauniyat ke beach
musa wahi hai hath mein jis ke asa na ho

bante hain zabte yahan honton pe qufl ke
patthar ye chahte hain koi be-sada na ho

aisa na ho ki khwab bhi jhad jaen nind se
mausam yahan ho sard pa itna khafa na ho

ghabra ke sab ujalon se kahne lage 'nawed'
hum tirgi mein jaen to ek bhi diya na ho


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close