aankh hai ek kaTora pani ka

aankh hai ek katora pani ka
aur ye hasil hai zindagani ka

raegan kar gaya mujhe aakhir
khauf aisa tha raegani ka

chal nikalta hai silsila aksar
khush-gumani se bad-gumani ka

dard bota hun zakhm khilte hain
hai bahut shauq bagh-bani ka

kya thikana gham-o-khushi ka ho
dil ilaqa hai la-makani ka

ja ke dariya mein phenk aaya hun
ye kya hai teri nishani ka

jis ka anjam hi nahin koi
main hun kirdar us kahani ka

muddaa nazm ho nahin paya
sher dhoka hai tarjumani ka


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close