aankhen mila rahe hain wahi aasman se

aankhen mila rahe hain wahi aasman se
waqif nahin hain log jo apne jahan se

kya jaane kaisi jang hai tishna-labi ke sath
khanjar hi hath dhone lage apni jaan se

ek dusre ke khun ki pyasi hai kaenat
rahta nahin hai koi kahin bhi aman se

taj-e-shahi pe khak udata raha faqir
mitti ne umr kat hi li apni shan se

ab surajon se hath milane ka waqt hai
ukta gae hain log bahut saeban se

muddat se ro rahi hai samundar ki mauj mauj
kya kah gaya tha koi larazti zaban se

hum ne tamam-umr guzari hai us ke sath
wahshat si ho rahi hai hamein jis makan se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close