aankhon ko phoD Dalun ya dil ko toD Dalun

aankhon ko phod dalun ya dil ko tod dalun
ya ishq ki pakad kar gardan marod dalun

yak-qatra khun baghal mein hai dil meri so us ko
palkon se teri khatir kyun-kar nichod dalun

wo aahu-e-ramida mil jae tira-shab gar
kutta banun shikari us ko bhanbhod dalun

khayyat ne qaza ke jama siya jo mera
aaya na ji mein itna kya is mein jod dalun

wo sang-dil hua hai ek sang-dil pe aashiq
aata hai ji mein sar ko pattharon se phod dalun

baitha hun khali aakhir ai aansuo karun kya
do chaar gokharo hi lao na mod dalun

taqsir 'mushafi' ki howe muaf sahib
farmao to tumhaare la us ko god dalun


This is a great kutta par shayari. True lovers of siya ke ram shayari will love this. Please share if you liked this!!!